Hmmm, hmmm
Hmmm, hmmm, nna-re-nara
Hmmm, hmmm
Meri aankhon me jo dard main chupata
Tune dekha nahi kya?
Mere kehne pe nishana jo lagaya tune
Laga nahi kya?
Aankhon pe laga jo pehra
Tu na ho main gira jo gehra
Utra hai, utra jo tera ye chehra
Hota ye aksar, hota ye aksar
Pata to hai na tujhe, pata toh hai na?
Hmmm, aankhon mein dekhne ki koshish na kar
Pal jo mile hai, wo rahenge na kal
Purane inn yaadon me rehne ki koshish na kar
Nahi bola kabhi mere liye
Har baar taane tune diye
Lekin maine sеhke liya
Galtiyan toh chhoti-moti hoti rеhti
Tu to roti rehti har baaton pe
Kaisi hai tu, dekh liya
Tu bas chahti hai, main jiyun tere vash me
Chhod dun sabhi ko, na rahun main kis ke touch me
Jaisi lagi tu halan’ki vaisi nahi hai tu
Dheere-dheere aane laga hai mujhe samajh me
Aksar hi aksar, ab rukta hun akshar me
Kalam ko pakad ke kaskar
Bhaari pad jaata main sab par
Haan, halke me lena mujhe ab tu bas kar
Aankhon me dekhne ki koshish na kar
Wapas nahi jeene milenge vo pal
Yaadon me jeene ki koshish na kar
Musafir main kar raha safar
Meri aankhon me jo dard main chupata
Tune dekha nahi kya?
Mere kehne pe nishana jo lagaya tune, laga nahi kya?
Aankhon pe laga jo pehra
Tu na ho main gira jo gehra
Utra hai, utra jo tera ye chehra
Hota ye aksar, hota ye aksar
Pata to hai na tujhe, pata toh hai na?
Gehra, tu na jo main gira jo
Aankhon pe laga jo pehra
Hota ye aksar, hota ye aksar