Kya yeh kahe, kya yeh kare
Karta hai soche na samjhe bina
Yeh dil akal ka hai maara
Jaane jahaan, isey mana
Ye dheet na maane jaaye wahaan
Dekho jise dil ka maara
Na labon se bole na yeh raaz khole
Koi hint hi nahi de kya kare
Karta hai apni hi manmaani
Hai pata naadaani
Phir bhi jaan boojh ke galti kare
Jazbaati hai dil
Jazbaati hai dil
Jazbaati hai dil
Sau dafa yeh tootega
Jaanta hai doobega
Ishq ke dariyaa mein yeh
Phir bhi jaake koodega
Kaagazi fasaane besure taraane
Gaaye dhun ho yaad chaahe na ise
Bigdi aulaadon sa mijaazi
Koi ho na raazi
Yeh toh baatein poori karke hi rahe
Jazbaati hai dil
Jazbaati hai dil
Jazbaati hai dil
Jazbaati hai dil